Tere Sang Lyrics – Amit Sengar

Song : Tere Sang – A Journey Of Love
Singer : Amit Sengar
Lyrics & Music : Kunaal Verma
Studio – Aashirwad Music Studio
Audio Label – Songster India pvt Ltd.

Tere Sang – A Journey Of Love Lyrics


Jaana tu dekh le ik nazar
Hua mujhe kya tujhe dekh kar
Na-mumkin hai ab yeh safar
Tere bin aye mere humsafar
Tujhe gar pa nahi main sakaa
Chain ek pal na paaunga..

Tu jo kahe hansna chaahunga
Tere sang chalna chaahunga
Ho nukhs mujh mein gar kahin..
Ho nukhs mujh mein gar kahin
Main khud ko badalna chaahunga

[Musical break]

Tumse ruke, tumse chale
Ab yeh meri zindagi
Karta rahoon shaam-o-sehar
Ab yun teri bandagi
Ek lamha bhi na juda rahoon
Jab tak rahoon tera rahoon
Dekhe koi chehra tera
Us noor mein main numa rahoon

[Musical break]

Yah jahaan chhod ke
Tere gham odh loon
Deke tujhko hansee
Gham mein palna chaahunga

Jaana tu dekh le ik nazar
Hua mujhe kya tujhe dekh kar
Na-mumkin hai ab yeh safar
Tere bin aye mere humsafar
Tujhe gar pa nahi main sakaa
Chain ek pal na paaunga

Tu jo kahe hansna chaahunga
Tere sang chalna chaahunga
Ho nukhs mujh mein gar kahin..
Ho nukhs mujh mein gar kahin
Main khud ko badalna chaahunga

[Musical break]

Koi din na ho tere bina
Koi shaam bhi na dhale
Yaadon mein bhi, khwabon mein bhi
Ab zikra tera chale
Yeh khwaab raarton se chun zara
Tu dil ki aakhon se bun zara
Jo lab mere keh paayein na
Meri dhadkanon se tu sun zara

Maine ab har lamha
Naam tere likha
Bin tere meri jaan
Koi kal naa chaahunga

Tu jo kahe hansna chaahunga
Tere sang chalna chaahunga
Ho nukhs mujh mein gar kahin..
Ho nukhs mujh mein gar kahin
Main khud ko badalna chaahunga..